Followers

Wednesday, March 25, 2009

kiraye ka ghar

''parinde bhi nahi rahte paraye aasiyano men .

hamari umra gujri hai kiraye ke makano men''

'bihari lal amber' ki ye panktiyan sahi mayno men meri jindgi pe satik bathi hain.sochta hun jab to sach men yahi lagta hai ki hum jub bade hue jub se study ke liye ghar se bahar nikle 'kabhi hostal to kabhi kiraye ke room men hi rahte aa rahe hain. kab hoga aapna ghar ya kabhi nai hoga ?bahut se sawal hain jinke jawab main nahi janta. kabhi bahut udas hota hun to gun guna leta hun ye panktiyan...

main aksar dekh kar ye duniya haran hota hun.

na mujhse ban saka ik chota ghar din rat rota hun...

khudaya kase tune ye jaha sara bana dala....